MERRY CHRISTMAS
Happy Christmas Ka Ye Pyara Sa Tyohaar,
Zindagi Me Laaye Khushiya Apaar,
Santa Clause Aaye Aapke Ghar,
Subhkamna Hamari Karo Sweekar.
Merry Christmas.
25 December ko chirstams ka festival bhaut hi ache se celebrate kiya jaata h ....santa claus jin ka chote bache pure saal entjar karte hai ki santa aayega or hume gift de kar jaayega ..
Sab bacho ki tarha riya bhi jo ki 7..8 saal ki hogi santa claus ka wait karti h ..but santa aata hi nhi winter vacation ke baad wo school jaati h sab friends santa ki or vacation m kya kya kiya baate krte h ...riya ki friend bolti h ki muje to santa gift de kar gya tha... tume nhi de kar gya kya ....yh sun k riya sochti h ki santa muje kyo nhi gift de kar gya .....
Riya ghar jaati h or apni mummy ko bolti hai ki santa meri friend ke ghar gya tha or use gift bhi diya ...mere pas kyo nhi aaya ..
Riya ki baate sun kar riya ki mummy boli hai ki duniya m bhaut saare bache h na jin ke pas santa ko jaana hota h ab wo ek sath to sab ke pas nhi jaa skta na .....
To tum ek kaam karo is baar tume jo gift chaye wo apni wish book m likh dena ...santa ko pta chl jaaye ki tume kya chaye ...or fir next time wo tumre pas pka aayega ...
......yh sun k riya khus ho jaati hai ki santa next time pka aayega ...or wo apni wish book m apni gifts ki choice's likh deti h ...or Christmas ka wait karti h ......har bar ki trah christmas aane wala hota h or riya ki mummy ko pta hota h ki is baar riya santa ka pure saal se wait kar rhi h.....riya ki mummy riya ki wish list m jo riya ke choices ke gift hote h le aati h or gift's ki achi si packing krwa laati h.....
christmas ki mid night m riya santa ka wait karti h ...to riya ki mummy bolti h ki beta santa to tumre sone ke baad hi aayega .....or tumra gift rakh k chla jaayega .. Santa ko to dur dur jaana hota h to time lgega ....fir b riya nhi maanti h lekin use nind aa jaati h ......riya ki mummy packing kiya hua gift night m hi riya ke pas rakh deti h ..
Morning m jab riya uthi h to wo apne pas bada sa gift dekh ke bhaut khus ho jaati h or khusi se chilati h ki us ka santa aaya tha .....yh dekh ke riya ke mummy or papa bhaut khus hote h ..
Riya apne gifts dekhti h or sab ko dikhati h ....us ki khusi ka koi thikana nhi hota h...
Har saal riya ki mummy us ke liye gift rakhti or riya yhi smajti ki santa aaya tha ....jab riya thori badi ho jaati h tab use pta chlta h ki har Christmas ki night m us ki mummy santa ka role karti h.... jab wo samjthi h ki mummy papa hmari khusi ke liye humara vishwas na tute us ke liye sab kuch karte h .
Comments
Post a Comment