TENSION EK BIMARI

      Kill Tension Before Tension Kills You
Reach Your Goal Before Goal Kicks You
Live Life Before LIFE Leaves You
       
   Aaj ki life full on tension life hoti h     ..chote bacho ko apne homework ki or study ki tension ....youth ko job ki tension  ...job ke baad shadi ki tension ...fir khud ke home ki tension    bacho ki tension bacho ke future ki tension to ase hi life chalti rhti h      .....or isi life ko sab koi khusi se to koi tension ki bimari se jeeta h       ....

     Mrs. Suman naam ki ek lady apne pass m hi sabji wali se sabjj lene jaati jo ki un sabji wali ki permanent customer hoti h...in dino mrs suman kafi udas or chup chup si rhati h ...to sabji wali puch hi leti hai ki aap aajkal itna udas kyo rhate ho to mrs suman bolti ki tension     ...bhaut jyda .  humne home liya hai or us ka home loan liya h .. Jo jab tk loan chukta nhi ho jaata ...muje to tension hi rhagi ....kyoki jab tak loan nhi diya jaata hum log savings hi nhi kar paayenge .....
   Tab sabji wali bolti hai ki aap n presan or tension ke liye home liya h ya khusi ke liye jo  home liya hai wo b tho aap ki saving hi h    ...aap or saving nhi bcha paati yh koi tension hui jo aap ko bimar hi kar de
   Sabji wali bolti hai ki mere 4 betiya hai m un ko padha rhi hu ....husband jin ka koi permanent kaam hi nhi h ...mera ghar bas meri sabji ki dukan se chlta hai ...
     Me yh soch lu ki sabji ki dukan se kya hoga to me yh sabji ki dukan bhi na chla paau.....muje bhi meri betiyo ki shadi karni hai ...or is dukan se kya hoga agar m yh sab tension le lu to mera to ghar kese chlega ...    .....
  Tension ek bimari hai jo insan ka jeena muskil kar deti hai ..
       Fir mrs suman sochti hai ki meri problem to koi problem hai hi nhi actual m dekha jaaye to  ..mrs suman ko samaj aa gya ki home lena bhi ek big saving hi h or saving ki tension m presan rhana bekar hai.

  jeevan mein kathinaiyaan hame barbaad karane nahin aatee hai, balki yah hamaaree chhupee huee saamarthy aur shaktiyon ko baahar nikalane mein hamaaree madad karatee hai | kathinaiyon ko yah jaan lene do kee aap usase bhee jyaada kathin ho.

Comments

Popular posts from this blog

Bhikhari

Aasha ki kiran

Nayi soch