THINK POSITIVE (सकारात्मक सोचो)
manovrtti ek "chashme" kee tarah hai | jis prakaar kaale rang ka chashma pahanane par, hamen sab kuchh kaala dikhaee deta hai aur laal rang ka chashma pahanane par, hamen sab kuchh laal hee dikhaee deta hai | isee prakaar negetiv najariye se hamen apane chaaron or niraasha, duhkh aur asantosh hee dikhaee dega aur pojitiv najariye (sakaaraatmak soch) se hamen aasha, khushiyaan env santosh hee najar aaega | yah ham nirbhar karata hai ki ham kaunase rang ka chashma pahanana pasand karate hai |
Bhaut se log bolte hai kee positive socho negative mat socho acha sochoge to acha hi milega but kabhi is baat ko realize nhi kiya tha but ab yh realize ho gya h ki positive soch se acha hi hota h .
July ka month tha me or meri best friend ase hi ghumne nikle ..hum dono ek handloom me ja rhe the to wha dekha ki ek uncle mehndi lga rhe the jo bhaut hi jaldi jaldi mehndi ke design bna rhe the .......meri friend boli ki muje bhi lagwani h mehndi ...or meri friend ne mehndi lagwana start kar diya ..or me use mehndi lagwate hue dekh rhi thi un uncle n bhaut hi jaldi se meri friend ke dono hath complete kar diye..
Mene un uncle se pucha ki aap itni fast mendi kese lga dete ho ...to un uncle ne bola ki muje piche wale customer bhi free karne hai ....fir mene surprise se bola ki piche to koi bhi customers nhi hai.....
To wo uncle hanse or bole ki meri imagination me aap ke baad muje customers ki puri line show ho rahi hai or wo muje free karni hai ..yeh sunte hi muje bhaut ajib lga me boli ki mehandi fast lgane ka reason to habit or practice ho sakti hai ..............jo customers hai hi nhi une free karna ...yeh mehndi fast lgane ka kya reason hua.......
Tab wo uncle wapas hanse or bole yhi meri soch hai....
mera mehndi lgane ka kaam hai or me ise bhaut hi thankful tarike se karta hu jab hi me itni fast mendi lga paata hu ...agar me is kaam ko ek boujh samaj ke karu to sayad itni fast mehndi ke design na bna paau ..
.....me mera kaam pura kar ke jab ghar jaata hu tab me mere har Customer ko man hi man thanku bolta hu chaaye pure din me 1 customer aaye ya 2 me sab ke prati thankfull rhta hu ....
Me har din har customer ke piche lambi line imaging krta hu taki m customer ko jaldi free kar saku..
Ise aap meri positive thought bhi samjh sakte ho or isi kaaran me apne kaam se khus rh paata hu ..taki me mere kaam ko or acha bana sakhu ..
Fir meri friend ne normally ya majak me un uncle se pucha ki esa aap bachpan se kar rhe ho kya ...
To un uncle ne bola nahi me pahale negative soch rkhta tha jis kaaran m kabhi khus nhi rha ...but abhi kuch saalo se mene apni soch ko badla ..or apni life m bhaut change realize kiya or ab m khus hu khud se or khud ke kaam se ..
Un uncle ki baat me bhaut dam tha jo hume real m positive thought feel krwa skhi
Hum samjh gaye ki agar hum apne work ke liye thankfull honge tabhi hum happy rah paaynge or tabhi life me or acha achieve kar paaynge .
AAP EK NEGATIVE SOCH KE SATH ACHA DIN NAHI BEETA SAKTE , OR EK POSITIVE SOCH KE SATH BURA DIN BHI BITA SAKTE HO .
Keep it up Baby :)
ReplyDeleteHmm.. You will receive what you think of.. There is a Famous book "The Secret" by Rhonda Byrne, which tells about the "Law of Attraction".
ReplyDeleteIf you think Negative, you will Attract Negative..and if You think positive you will attract positive and will see happiness all your around..:)